Wo karta tha hamary sang bohot umeed ki baatyn Kabhi sarsabz patton man chupy us noor ki baatyn Kabhi sooraj ki kirnon ki tarha dilkash haseen baatyn Kabhi us chaandni ronak samety hoor ki baatyn Wo kehta tha bohot saary han log is gol dunya man Na samjho sub ko ek jesa han sub anmol dunya man Bohot hansta tha, kehta tha hamysha muskuraa kar k Hun acha man bhala rakhun q khud ko man bacha kar k Tha samjhaya nahi milti ha jannat dunya daari sy Pujari nafs k han sub garaz sub ko savari sy Tmhara dil bohot ha saaf par tm ko bataty han Darindy han yahan dil ko sambhalo kaat khaty han Nahi darty wo tm ko dukh man rota dekhny sy bhi Haseen muskaan ki maiyat ko uthta dekhny sy bhi Zulam ki had kahin aa kar khatam hoti nahi sahab K jitna dil man socha ha wo bus aaghaaz ha sahab Wo sunta tha magar kehta tha wo phir muskurahat sy Bhala kis ko khushi ho gi kisi k haar jaany sy Thy guzry bars kai saary mila us ko man phir ek din Tha sanjeeda bohot karta tha baatyn muskurahat bin Jo pucha haal-e-di...
I'm your humble admin Muawiz Naim I'll be sharing some of my thoughts with you beautiful people and what's the most beautiful way to convey something that hits the heart? Poetry ❤️