Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2021

"Ishq"

Tm pass aao phir door jao Tmhara aana bhi Ishq ha kia Tm us k hoty kisi ko dekho Ye us ka hona bhi Ishq ha kia Tm us k naam ki karo jo tasbeeh Or door jaa kar karo burai Tm us ke kehny ko taal do to Ye taal dena bhi Ishq ha kia Tm Ishq karty ho us ko phir bhi Pasand ko us ki bura kaho tm Ishq ka Ishq bhi Ishq ha lekin  Tmhara naatak bhi Ishq ha kia Kaho tm aashiq hazaar khud ko Adayn kuch or bata jo dyn to Tmhary da'avy bekaar jayn Tmhara laara bhi Ishq ha kia Kamana parta ha naam aashiq Ye milta nahi ha youn ba'asaani Raho tm aashiq karo baghawat Is aashiqi man bhi Ishq ha kia