Nigaahyn utha ke man dekhun kabhi Mujh ko dikhti ha ek chand ki roshni Jesy ho ek gulab dilkash o dilnasheen Jesy qudrat ka manzar bohot hi haseen Jesy sooraj sy hota ha saaf aasmaan Rakhy sab ko jahan man haseen o jawan Esa milta ha jalwa jahan bhar man kam Jis ko dekhyn jo ek pal ko ho jayn zam Jis ke sani ki rehti sabhi ko talab Jis ka sani bhi milta kisi ko ha kab Esy purnoor insan ka rakhiye khayal Jin ka anmol ha sar ka aik aik baal Jin ke maathy ki ronak sy rehta ha dam Jin ke didaar sy ham ko aata ha dam Jin ki aankhon man dikhta samundar koi Doob jaana ho jis man sada bus yun hi Jin k gaalon ki narmi karun man bayaan Jesy ho badalon man pari ka makaan Jin ke honton ki surkhi ho ya ho koi Phoolon ke badshaahon ki ek pankhari Jin ke khilty badan ki mehek ka asar Rakhy ark e gulab jesa hi kuch asar Pas man kesy karun unko esy bayaan Han wo qudrat ka ek dilnasheen sa gumaan
I'm your humble admin Muawiz Naim I'll be sharing some of my thoughts with you beautiful people and what's the most beautiful way to convey something that hits the heart? Poetry ❤️