Ek roz tha jab ham uthty thy Or uth kar phir so jaty thy Ghar kesa ha kis ko maloom Ham masti man kho jaty thy Wo dyr sy uthna or uth kar Araam sy khana peena bhi Abu bazaar ko jaaty or Kuch na kuch ly kar aaty thy Araam sy ghar man bethy ham Khaa pee kar mazy uraaty thy Or raat ko jaldi so kar ham Un ko ehsaan jitaaty thy Maqtab ke sabaq ko roty thy Ustaad ko aankh dekhaty thy Thi zindagi ek uljhan man or Ham naaz sy isy dekhaty thy Ab raat ko so jaty han par Neendyn poori hoti hi nahi Jaldi uth kar daftar ko ham Bas maary maary jaaty han Ab kaam jo aaya ha Sir par To jaib ka rasta yaad hoa Pahly to araam sy khaaty thy Ab saans bhi thaam ke lety han Jis aish sy guzra tha bachpan Wo raatyn najaany kahan gain Ek roz tha jab ham uthty thy Ab bus uthaye hi jaaty han
I'm your humble admin Muawiz Naim I'll be sharing some of my thoughts with you beautiful people and what's the most beautiful way to convey something that hits the heart? Poetry ❤️