Ek roz tha jab ham uthty thy
Or uth kar phir so jaty thy
Ghar kesa ha kis ko maloom
Ham masti man kho jaty thy
Wo dyr sy uthna or uth kar
Araam sy khana peena bhi
Abu bazaar ko jaaty or
Kuch na kuch ly kar aaty thy
Araam sy ghar man bethy ham
Khaa pee kar mazy uraaty thy
Or raat ko jaldi so kar ham
Un ko ehsaan jitaaty thy
Maqtab ke sabaq ko roty thy
Ustaad ko aankh dekhaty thy
Thi zindagi ek uljhan man or
Ham naaz sy isy dekhaty thy
Ab raat ko so jaty han par
Neendyn poori hoti hi nahi
Jaldi uth kar daftar ko ham
Bas maary maary jaaty han
Ab kaam jo aaya ha Sir par
To jaib ka rasta yaad hoa
Pahly to araam sy khaaty thy
Ab saans bhi thaam ke lety han
Jis aish sy guzra tha bachpan
Wo raatyn najaany kahan gain
Ek roz tha jab ham uthty thy
Ab bus uthaye hi jaaty han
❤️❤️
ReplyDelete