Tu ne to khud ko devaana hi bana rakha ha
Teri soorat sy chalakta tha kabi noor-e-muhabbat
Tu ne ab chehra-e-purnoor hi dunya sy chupa rakha ha
Log kehty han ke hota hai zamany man hi
Log aaty han faqat chor ke jaany ki khatir
Dukh na kar ye to faqat aam ha is dunya man
Ishq hota ha faqat paisa-o-shohrat ki khatir
Esi anmool kahani to nahi ha teri
Koi anmool khazana bhi nahi khoya tu ne
Tu ne bekaar hi be’chain kia hai khud ko
Khud ko khud maar giraya ha faqat goya tu ne
Man ye kehta hun ke logon ko bhala kia maloom
Man ny paaya bhi bohot or bohot khoya bhi ha
Umr bhar sath chaly ga mery tanhai ka saaya
Meri raaton ki khushi, chain sakoon khoya bhi ha
Mujhe hasil ha pareshaani ka umda kambal
Hai ataa mujh ko umar bhar ki kasak ki chaadar
Mujh ko pehnaya hai zillat ka libaada us ny
Beech us raah-e-khushaada py mujhe kar ke anaadar
Tu kia jaany mery jazbaat ki shiddat HAFIZ
Tu ny insan ko insan hi maana kab ha
Tu kabi ishq ki dunya man qadam rakhy to jaany
Is ny aashiq ki baqaa ke liye kuch chora kab ha
Ho teri subha bhi ek roz hamary jesi
Tu bhi ek din meri raahon sy guzar kar dekhy
Tu bhi us kooch-e-dildaar py dastak chahy
Tu bhi dildaar ko baahon man kisi ke dekhy
Tu bhi meri tarha us zillat ki haddon ko dekhy
Tu bhi meri tarha devaar man sir ko patkhy
Tu bhi roye tu bhi sochy ke teri ghalti kia thi
Tu bhi be’ghar howe logon ki tarha har su bhatky
Phir tu boly ke tera ishq sabab hai is ka
Tu bhi is ishq ko pur’noor zeher sa boly
Man kahun dunya man hota hi raha ha sahib
Or tu apny kasak-e-qalb ko bay’jor sa boly
Comments
Post a Comment