Skip to main content

Cold Night



 Pal bhar man zamany beet gaye

Ek shakhs ka chehra yaad raha

Ek umar luta bethy jis par

Us shakhs ka saaya pass raha


Ek chehra phool ki pattiyon sa

Muskaan hawaon ke jesi

Ek shakhs ki garmi sooraj si

Or chamak sitaaron ke jesi


Gulshan ka samaan hota tha jab

Paighaam-e-bulawa aata tha

Chand pyar bhary alfaaz man jab

Sakoon-e-dahr samaata tha


Ek raat thi jab ham jeet gaye

Is dahr ka sab kuch pal bhar man

Ek raat this jab sab khatm hoa

Sab haar gaye ham pal bhar man


Ek pal man mera dil Gulshan sy

Banjar or phir barbaad hoa

Kuch kar na saka, but sehta raha

Dil phir na kabhi bhi shaad hoa


Ek ashq ny sab kuch bol dia

Jab hont sahaara chor gaye

Jis jis ka sahaara tha dil ko

Mujh sy apna mun mor gaye


Jab raat andheri aati ha

Bus thandi aahyn bharta hun

Aankhon sy dekh ke na samjha

Haalan ke man audit karta hun

Comments

  1. Kamal bro always be happy apky sath apki hmesha ak bhan hai

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Tu Bhi

  Log kehty han ke kia haal bana rakha tu ne Tu ne to khud ko devaana hi bana rakha ha Teri soorat sy chalakta tha kabi noor-e-muhabbat Tu ne ab chehra-e-purnoor hi dunya sy chupa rakha ha   Log kehty han ke hota hai zamany man hi Log aaty han faqat chor ke jaany ki khatir Dukh na kar ye to faqat aam ha is dunya man Ishq hota ha faqat paisa-o-shohrat ki khatir   Esi anmool kahani to nahi ha teri Koi anmool khazana bhi nahi khoya tu ne Tu ne bekaar hi be’chain kia hai khud ko Khud ko khud maar giraya ha faqat   goya tu ne   Man ye kehta hun ke logon ko bhala kia maloom Man ny paaya bhi bohot or bohot khoya bhi ha Umr bhar sath chaly ga mery tanhai ka saaya Meri raaton ki khushi, chain sakoon khoya bhi ha   Mujhe hasil ha pareshaani ka umda kambal Hai ataa mujh ko umar bhar ki kasak ki chaadar Mujh ko pehnaya hai zillat ka libaada us ny Beech us raah-e-khushaada py mujhe kar ke anaadar   Tu kia jaany mery...

Tragic Soul of Poetry

Man haathon man samety chand lafzon ke janaazy ko Safar apna kisi manzil ki khatir waqf karta hun Kabhi dayn Kabhi bayn Kabhi oopar Kabhi neechy Kabhi edhar Kabhi udhar Kabhi aagy Kabhi peechy Kabhi mushkil banata hun Kabhi asaan karta hun Man apni shayari ka safr youn tamaam karta hun Kabhi ek laye banata hun jo dil ko kaat kar guzry Kabhi ek lafz esa daal dun jo dil man jaa utry Laga dun qafiya to husan in lafzon man bharta ha Mukammal mery misry ko mera radeef karta ha Magar bejaan in alfaaz ko kia dun k jee jayn Ke sun'ny waly har insan ke jazbaat pee jayn Koi aab-e-hayat esa jo murda ko jagaa jaye Koi jadu jo in bejaan lafzon ko utha jaye Mehez alfaz ke ghuchy to har koi banata ha Kabhi oocha Kabhi neecha to har koi sunata ha Magar alfaz ka gucha nahi shayari ha kehlaata Na ye kuch ha samajhta na kisi ko kuch ye batlaata Haqeeqat man to asli shayari ka pait bharty han Ghiza dety han, apni shayari par shayar marty han Qalam karty han sir or chaak-e-daaman apna karty han Gira ka...