Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2023

Mera Lahore

  Man kachi eent ki devaar ke ghar man hua paida Jidhar ka kona kona us zamany ki alamat ha   Jisy guzry zamany ho chuky ab tak slaamat ha Mera shehr-e-Lahore apny hi andar ek ajooba ha   Lahore ek khaas khitty sy nikal kar barh bhaly jaye Magar mery liye abhi tak ye unhi galiyon py mabni ha   Jidhar galiyon man bachy ab bhi youn hi muskuraaty han Ke goya dunya k sab raaz-o-makhfi sy ye waqif han   Bohot doori ha un man or maghrib ki bulandi man Wo pasti man bhi raaton ko sakoon ki neend soty han   Jahan koi kisi ko apna kehny sy bhi qasir ha Wahan par ajnabee ko bhi wo apna bhai kehty han   Mehez khitta-e-arz hony sy bartar ha muqaam us ka Wo dil man raaj karta ha wo mann man ghar banata ha   Zameen ke tukry sy barh kar wo ek ehsaas ha esa Ke jesy hath thaamy apna koi sath chalta ha   Wo ek maa ki tarha matti sy pahly parwarish kar ke Bary bhai ki tarha mushkilon sy door rakhta ha   ...