Man kachi
eent ki devaar ke ghar man hua paida
Jidhar ka
kona kona us zamany ki alamat ha
Jisy guzry
zamany ho chuky ab tak slaamat ha
Mera
shehr-e-Lahore apny hi andar ek ajooba ha
Lahore ek
khaas khitty sy nikal kar barh bhaly jaye
Magar mery
liye abhi tak ye unhi galiyon py mabni ha
Jidhar
galiyon man bachy ab bhi youn hi muskuraaty han
Ke goya
dunya k sab raaz-o-makhfi sy ye waqif han
Bohot doori
ha un man or maghrib ki bulandi man
Wo pasti
man bhi raaton ko sakoon ki neend soty han
Jahan koi
kisi ko apna kehny sy bhi qasir ha
Wahan par
ajnabee ko bhi wo apna bhai kehty han
Mehez
khitta-e-arz hony sy bartar ha muqaam us ka
Wo dil man
raaj karta ha wo mann man ghar banata ha
Zameen ke
tukry sy barh kar wo ek ehsaas ha esa
Ke jesy
hath thaamy apna koi sath chalta ha
Wo ek maa
ki tarha matti sy pahly parwarish kar ke
Bary bhai
ki tarha mushkilon sy door rakhta ha
Wo Baba ki
tarha bhatky howon ko raah dekhata ha
Wo behnon
ki tarha dil sy laga kar pyar karta ha
Mujhe us
ghar sy nikly bhi bohot arsa ha beeta par
Mera ghar
ab bhi mery samny esy hi rehta ha
Ke jesy man
wahin par hun abhi ye mera bachpan ha
Ke jesy
kachi devaaron ki Khushbu ab bhi zinda ha
Mujhe mera
Lahore or us ki zeenat phir mili jesy
Nahi bichra
kabhi man us haseen mitti k phoolon sy
Hai ek
insan jis man youn mila mujh ko mera Lahore
Jesy ho koi
nayaab moti door nazron sy
Mera Delhi
mera Masti mera Bhati mera Mori
Mera Mochi
o Taxali o Kashmiri o Lahori
Ho
Sheranwala ya ho Yakki o Shah Alam ka darwaza
Wohi ha Roshnai
ka wohi Akbari ka darwaza
Wo ha
Badshahi masjid or wohi Jodha ka mandir ha
Usi ki
muskuraahat par khatam Shahi Qila tak ha
Mehez
baaton ki baaton man bayaan ye karna man chahun
Keh us ko
dekh kar youn hi mujhe sakoon milta ha
Keh jesy ho
mila mera hi apna ghar kabhi mujh ko
Mera wo ghar bhi tm hi ho, mera Lahore bhi tm ho
Bohat umdaa🌻
ReplyDeleteLafzun ka Chunao Muawiz ❤️👌
ReplyDelete