Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2025

Cold Night

 Pal bhar man zamany beet gaye Ek shakhs ka chehra yaad raha Ek umar luta bethy jis par Us shakhs ka saaya pass raha Ek chehra phool ki pattiyon sa Muskaan hawaon ke jesi Ek shakhs ki garmi sooraj si Or chamak sitaaron ke jesi Gulshan ka samaan hota tha jab Paighaam-e-bulawa aata tha Chand pyar bhary alfaaz man jab Sakoon-e-dahr samaata tha Ek raat thi jab ham jeet gaye Is dahr ka sab kuch pal bhar man Ek raat this jab sab khatm hoa Sab haar gaye ham pal bhar man Ek pal man mera dil Gulshan sy Banjar or phir barbaad hoa Kuch kar na saka, but sehta raha Dil phir na kabhi bhi shaad hoa Ek ashq ny sab kuch bol dia Jab hont sahaara chor gaye Jis jis ka sahaara tha dil ko Mujh sy apna mun mor gaye Jab raat andheri aati ha Bus thandi aahyn bharta hun Aankhon sy dekh ke na samjha Haalan ke man audit karta hun