Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2024

My Funeral

Kitaab-e-zindagani ke haseen pannon ko paltaa kar Ham is baab-e-muhabbat ka safar anjaam karty han Ke jis ko toot kar chaha tha dil ny khud sy bhi ziyada Usy zindaan-e-dil sy aaj ham azaad karty han Ham us ko chor aaty han jahan us ka irada ho Jahan us ki nigaahyn hon ham us k naam karty han Pakar kar ham dabaaty han gala apni muhabbat ka Ham apny khud ke ehsasaat hi par vaar karty han Jo dil man khuwahishon ka ek diya ham ny jalaya tha Chalo us ko bujhaa kar zindagi man shaam karty han Uthaty han janaza dil or sab achi umeedon ka Or apni rooh ke hamraah sapurd-e-khaak karty han Jo khushiyan soch kar rakhi theen tery sath paany ki Ham un khushiyon ko apni zindagi sy aaq karty han Banaty han qabar apni or us man lait kar, Hafiz Ham khatm-e-zindagi ke pal ka intazaar karty han

New Year's Resolution

Ek naye saal ki aamad hai Is saal ko behtar karty han Jo paa na saka tu guzry saal Wo paane ki Koshish karty han Ek din banaty han jis man Dil k armaan ko likhty han Or kaaghaz kam par jaane par Ham deewaaron par likhty han Hum raat ko din or din ko raat Kar ke bus likhty rehty han Kuch reh na jaye ab ki dafa Ham guzry saal sy kehty han Ham qabristaan ko rukh kar k Soti roohon sy kehty han Tum bhi batlaao kia bhooly Ham wo bhi kar ke rehty han Ye saal bohot lamba ho ga Is saal man sab kuch karty han Din kam par jayn to phir kia Ham raaton man bhi jagty han Ham jaan lagaa dyn gy is saal Sab kuch haasil kar bethyn gy Par jab likhny bethyn kuch bhi Lagta ha sab bhool bethy han Na wakt hai milta or na rukh Kuch samajh na aata likhny ko Kia kia likhun kia kia chorun Kuch qabil bhi ha likhny ko To kaam kuch esa karty han Ham kul kainat ko likhty han Ham qalam utha kar kaaghaz par Bus tery naam ko likhty han