Skip to main content

New Year's Resolution


Ek naye saal ki aamad hai

Is saal ko behtar karty han

Jo paa na saka tu guzry saal

Wo paane ki Koshish karty han


Ek din banaty han jis man

Dil k armaan ko likhty han

Or kaaghaz kam par jaane par

Ham deewaaron par likhty han


Hum raat ko din or din ko raat

Kar ke bus likhty rehty han

Kuch reh na jaye ab ki dafa

Ham guzry saal sy kehty han


Ham qabristaan ko rukh kar k

Soti roohon sy kehty han

Tum bhi batlaao kia bhooly

Ham wo bhi kar ke rehty han


Ye saal bohot lamba ho ga

Is saal man sab kuch karty han

Din kam par jayn to phir kia

Ham raaton man bhi jagty han


Ham jaan lagaa dyn gy is saal

Sab kuch haasil kar bethyn gy

Par jab likhny bethyn kuch bhi

Lagta ha sab bhool bethy han


Na wakt hai milta or na rukh

Kuch samajh na aata likhny ko

Kia kia likhun kia kia chorun

Kuch qabil bhi ha likhny ko


To kaam kuch esa karty han

Ham kul kainat ko likhty han

Ham qalam utha kar kaaghaz par

Bus tery naam ko likhty han

Comments

Popular posts from this blog

Cold Night

 Pal bhar man zamany beet gaye Ek shakhs ka chehra yaad raha Ek umar luta bethy jis par Us shakhs ka saaya pass raha Ek chehra phool ki pattiyon sa Muskaan hawaon ke jesi Ek shakhs ki garmi sooraj si Or chamak sitaaron ke jesi Gulshan ka samaan hota tha jab Paighaam-e-bulawa aata tha Chand pyar bhary alfaaz man jab Sakoon-e-dahr samaata tha Ek raat thi jab ham jeet gaye Is dahr ka sab kuch pal bhar man Ek raat this jab sab khatm hoa Sab haar gaye ham pal bhar man Ek pal man mera dil Gulshan sy Banjar or phir barbaad hoa Kuch kar na saka, but sehta raha Dil phir na kabhi bhi shaad hoa Ek ashq ny sab kuch bol dia Jab hont sahaara chor gaye Jis jis ka sahaara tha dil ko Mujh sy apna mun mor gaye Jab raat andheri aati ha Bus thandi aahyn bharta hun Aankhon sy dekh ke na samjha Haalan ke man audit karta hun

Tu Bhi

  Log kehty han ke kia haal bana rakha tu ne Tu ne to khud ko devaana hi bana rakha ha Teri soorat sy chalakta tha kabi noor-e-muhabbat Tu ne ab chehra-e-purnoor hi dunya sy chupa rakha ha   Log kehty han ke hota hai zamany man hi Log aaty han faqat chor ke jaany ki khatir Dukh na kar ye to faqat aam ha is dunya man Ishq hota ha faqat paisa-o-shohrat ki khatir   Esi anmool kahani to nahi ha teri Koi anmool khazana bhi nahi khoya tu ne Tu ne bekaar hi be’chain kia hai khud ko Khud ko khud maar giraya ha faqat   goya tu ne   Man ye kehta hun ke logon ko bhala kia maloom Man ny paaya bhi bohot or bohot khoya bhi ha Umr bhar sath chaly ga mery tanhai ka saaya Meri raaton ki khushi, chain sakoon khoya bhi ha   Mujhe hasil ha pareshaani ka umda kambal Hai ataa mujh ko umar bhar ki kasak ki chaadar Mujh ko pehnaya hai zillat ka libaada us ny Beech us raah-e-khushaada py mujhe kar ke anaadar   Tu kia jaany mery...

Tragic Soul of Poetry

Man haathon man samety chand lafzon ke janaazy ko Safar apna kisi manzil ki khatir waqf karta hun Kabhi dayn Kabhi bayn Kabhi oopar Kabhi neechy Kabhi edhar Kabhi udhar Kabhi aagy Kabhi peechy Kabhi mushkil banata hun Kabhi asaan karta hun Man apni shayari ka safr youn tamaam karta hun Kabhi ek laye banata hun jo dil ko kaat kar guzry Kabhi ek lafz esa daal dun jo dil man jaa utry Laga dun qafiya to husan in lafzon man bharta ha Mukammal mery misry ko mera radeef karta ha Magar bejaan in alfaaz ko kia dun k jee jayn Ke sun'ny waly har insan ke jazbaat pee jayn Koi aab-e-hayat esa jo murda ko jagaa jaye Koi jadu jo in bejaan lafzon ko utha jaye Mehez alfaz ke ghuchy to har koi banata ha Kabhi oocha Kabhi neecha to har koi sunata ha Magar alfaz ka gucha nahi shayari ha kehlaata Na ye kuch ha samajhta na kisi ko kuch ye batlaata Haqeeqat man to asli shayari ka pait bharty han Ghiza dety han, apni shayari par shayar marty han Qalam karty han sir or chaak-e-daaman apna karty han Gira ka...