Kitaab-e-zindagani ke haseen pannon ko paltaa kar
Ham is baab-e-muhabbat ka safar anjaam karty han
Ke jis ko toot kar chaha tha dil ny khud sy bhi ziyada
Usy zindaan-e-dil sy aaj ham azaad karty han
Ham us ko chor aaty han jahan us ka irada ho
Jahan us ki nigaahyn hon ham us k naam karty han
Pakar kar ham dabaaty han gala apni muhabbat ka
Ham apny khud ke ehsasaat hi par vaar karty han
Jo dil man khuwahishon ka ek diya ham ny jalaya tha
Chalo us ko bujhaa kar zindagi man shaam karty han
Uthaty han janaza dil or sab achi umeedon ka
Or apni rooh ke hamraah sapurd-e-khaak karty han
Jo khushiyan soch kar rakhi theen tery sath paany ki
Ham un khushiyon ko apni zindagi sy aaq karty han
Banaty han qabar apni or us man lait kar, Hafiz
Ham khatm-e-zindagi ke pal ka intazaar karty han
Great sir👌
ReplyDelete