Kia bataon main ny hai kia dekha
Thi koi wo aarzoo-e-aaftaab
Ho chaman ki pahli kali jesy
Jesy ho koi khilta hoa gulaab
Jisy dekh kar mera dil kahy
Hai nahi or koi esa kahin
Jis ki aik muskaan ko dil mera
Kary lakh khushiyan us par qurban
Jis ki palkon ki adayn dekh kar
Jalyn titliyan, chalyn kehkashaan
Jis ki jhuki nazar kary har nagar
Dil py har kisi k haseen vaar
Jis ke gaal hon ya phir ho koi
Sang-e-marmar ki tarshi hoi chamak
Jisy dekh kar chaand bhi kahy
Meri bhi ho kuch esi hi shaan
Jis ke honton ki shabnam kary asar
Ke sookhi nadiyan bhi beh uthyn
Jis ki piyaas ko tarsy har ek nagar
Ke Sabhi banjar biyabaan baagh
Jis ke labon ki narmi ko mangty
Han jahan bhar k julistaan
Jisy choo lyn wo ek baar bhi
Wo karta rahe isi ki talaash
Jis ke jism ko kia man karun bayan
Resham ki maanind mulaym sa
Jis sy pani giry jesy ho koi
Zooron sy behti hoi aabshaar
To man kia bataon us ki deed ko
Man to dil man rehta hun sochta
Nahi thi wo larki koi aam si
Thi husan ka dilkash inkishaaf
Comments
Post a Comment