Skip to main content

Hum Yaad Unhi Ko Karty Han 💔



Kuch log jahan man bethy han
Jo yaad hamin ko karty han
Par jo karta ha nazar'andaaz
Hum yaad unhi ko karty han

Ham din ke wakat uth jaaty han
Or kaam par apny jaaty han
Par raat ko thak kar jub bethyn
Hum yaad unhi ko karty han

Ho raat ya ho din ka samaan
Hon hal bury ya hon khush'haal
Dil taaza ho ya ho bezaar
Hum yaad unhi ko karty han

Han kon koi ye jaany na
Ham par ye jaadu karty han
Ke dunya bhula kar ke saari
Hum yaad unhi ko karty han

Kia ha esa is insaan man
Jo is man hum kho jaaty han
Or kho k hosh hawaas apny
Hum yaad unhi ko karty han

Man ny dil ko samjhaya ha
Dehaan bhi bohot bataye han
Par jab bhi sochna kuch chahyn
Hum yaad unhi ko karty han

Ro ro kar haal bigaara ha
Khud ko barbaad kar bethy han
Par hath dua man joryn to
Hum yaad unhi ko karty ha

Comments

  1. Heyyy admin. I dont know you but I think you are a beautiful person with a beautiful heart. I wish I meet you someday..

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jazaak Allah, mery/meri pyary/pyari bhai/behen. Allah pak aapko hamysha khush rakhy or abaad rakhy or agar kabi aapko lagy k aap ki zindagi achi nai jaa rahi to yaad rakhna k ye sub Allah pak ki marzi ha. To bus itna keh dena
      Na jaanun ye kahan pohoncha
      Yahan pohoncha wahan pohoncha
      Magar maloom itna ha
      Jahan pohoncha sahi pohoncha
      ❤️

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Cold Night

 Pal bhar man zamany beet gaye Ek shakhs ka chehra yaad raha Ek umar luta bethy jis par Us shakhs ka saaya pass raha Ek chehra phool ki pattiyon sa Muskaan hawaon ke jesi Ek shakhs ki garmi sooraj si Or chamak sitaaron ke jesi Gulshan ka samaan hota tha jab Paighaam-e-bulawa aata tha Chand pyar bhary alfaaz man jab Sakoon-e-dahr samaata tha Ek raat thi jab ham jeet gaye Is dahr ka sab kuch pal bhar man Ek raat this jab sab khatm hoa Sab haar gaye ham pal bhar man Ek pal man mera dil Gulshan sy Banjar or phir barbaad hoa Kuch kar na saka, but sehta raha Dil phir na kabhi bhi shaad hoa Ek ashq ny sab kuch bol dia Jab hont sahaara chor gaye Jis jis ka sahaara tha dil ko Mujh sy apna mun mor gaye Jab raat andheri aati ha Bus thandi aahyn bharta hun Aankhon sy dekh ke na samjha Haalan ke man audit karta hun

Tu Bhi

  Log kehty han ke kia haal bana rakha tu ne Tu ne to khud ko devaana hi bana rakha ha Teri soorat sy chalakta tha kabi noor-e-muhabbat Tu ne ab chehra-e-purnoor hi dunya sy chupa rakha ha   Log kehty han ke hota hai zamany man hi Log aaty han faqat chor ke jaany ki khatir Dukh na kar ye to faqat aam ha is dunya man Ishq hota ha faqat paisa-o-shohrat ki khatir   Esi anmool kahani to nahi ha teri Koi anmool khazana bhi nahi khoya tu ne Tu ne bekaar hi be’chain kia hai khud ko Khud ko khud maar giraya ha faqat   goya tu ne   Man ye kehta hun ke logon ko bhala kia maloom Man ny paaya bhi bohot or bohot khoya bhi ha Umr bhar sath chaly ga mery tanhai ka saaya Meri raaton ki khushi, chain sakoon khoya bhi ha   Mujhe hasil ha pareshaani ka umda kambal Hai ataa mujh ko umar bhar ki kasak ki chaadar Mujh ko pehnaya hai zillat ka libaada us ny Beech us raah-e-khushaada py mujhe kar ke anaadar   Tu kia jaany mery...

Tragic Soul of Poetry

Man haathon man samety chand lafzon ke janaazy ko Safar apna kisi manzil ki khatir waqf karta hun Kabhi dayn Kabhi bayn Kabhi oopar Kabhi neechy Kabhi edhar Kabhi udhar Kabhi aagy Kabhi peechy Kabhi mushkil banata hun Kabhi asaan karta hun Man apni shayari ka safr youn tamaam karta hun Kabhi ek laye banata hun jo dil ko kaat kar guzry Kabhi ek lafz esa daal dun jo dil man jaa utry Laga dun qafiya to husan in lafzon man bharta ha Mukammal mery misry ko mera radeef karta ha Magar bejaan in alfaaz ko kia dun k jee jayn Ke sun'ny waly har insan ke jazbaat pee jayn Koi aab-e-hayat esa jo murda ko jagaa jaye Koi jadu jo in bejaan lafzon ko utha jaye Mehez alfaz ke ghuchy to har koi banata ha Kabhi oocha Kabhi neecha to har koi sunata ha Magar alfaz ka gucha nahi shayari ha kehlaata Na ye kuch ha samajhta na kisi ko kuch ye batlaata Haqeeqat man to asli shayari ka pait bharty han Ghiza dety han, apni shayari par shayar marty han Qalam karty han sir or chaak-e-daaman apna karty han Gira ka...