Sunaon man tmhan ek raaz ek bholi si larki ka
Tha jis ka aashiyana ek huseen aaftab ke jesa
Ke jo us ki nigahon sy nigahyn chaar kar bethy
Wo bus chahy usi ka naam usi ke saye ka saya
Thi wo parion ki ek raani ke sir py taaj rehta tha
Tahaffuz har nazar har shar sy us ko saya deta tha
Wo jub nikly chaman sy door kahin to dekh ke har fard
Dekhany izzat-o-aajizi nigaahon ko jhuka leta
Tha koi raaz us ke taaj man jo jaan'ny khaatir
Chala man us pari k aashiyany ki tarf paidal
Jo man ny jaa k pucha hai koi to ek awaz aai
Hun parion ka muhafiz ha bachana kaam hi mera
Jo pucha kesy karty ho tm apny farz ko adaa
Bataya ek nacheez hun man, hai taaqat sub usi ny di
Ke jis ke sir py aa jaon tahaffuz us ko deta hun
Magar milta ha hai sub ko aik hi zaat-e-mubarak ka
Jo pucha us ka kia jo tujh to rakhty han chupa kar ke
Na tujh ko sir py lety han na leny kisi ko dety han
Bataya hun nacheez himmat nahi un ko bachany ki
Ke jis ny phera mun mujh sy nahin us par kabi jaata
Mujhe bheja tha parion ki, jahaan ki maaon ki khatir
Ke azaad or ghulamon man faraq karna mera maqsad
Magar jis ny mujhe zanjeer keh kar chora mera saath
Haqeeqat man ha pehni beriyan us ny ghulamon ki
Tajassus aasmaan par tha k itny man pari aai
Mujhe bola kahan sy ho kidhar ha manzil-e-maqsood
Man bola hun musafir aik tajassus taaj ka mujh ko
Hai laaya aashiyany aapky norani aanchal ke
Ha kia esa kamal is taaj man jo deta ha ye sub
Ye noor or ye tahaffuz izzat-o-waqar dunya ka
To boli taaj pehnaya ha us zaat-e-mubarak ne
Kaha pehno isy or bol ke ye ha tera Parda
Comments
Post a Comment