Wo karta tha hamary sang bohot umeed ki baatyn
Kabhi sarsabz patton man chupy us noor ki baatyn
Kabhi sooraj ki kirnon ki tarha dilkash haseen baatyn
Kabhi us chaandni ronak samety hoor ki baatyn
Wo kehta tha bohot saary han log is gol dunya man
Na samjho sub ko ek jesa han sub anmol dunya man
Bohot hansta tha, kehta tha hamysha muskuraa kar k
Hun acha man bhala rakhun q khud ko man bacha kar k
Tha samjhaya nahi milti ha jannat dunya daari sy
Pujari nafs k han sub garaz sub ko savari sy
Tmhara dil bohot ha saaf par tm ko bataty han
Darindy han yahan dil ko sambhalo kaat khaty han
Nahi darty wo tm ko dukh man rota dekhny sy bhi
Haseen muskaan ki maiyat ko uthta dekhny sy bhi
Zulam ki had kahin aa kar khatam hoti nahi sahab
K jitna dil man socha ha wo bus aaghaaz ha sahab
Wo sunta tha magar kehta tha wo phir muskurahat sy
Bhala kis ko khushi ho gi kisi k haar jaany sy
Thy guzry bars kai saary mila us ko man phir ek din
Tha sanjeeda bohot karta tha baatyn muskurahat bin
Jo pucha haal-e-dil kia ha zara hum ko bhi batlaayn
Ke pheeki si hamari zindagi man rang phelayn
Wo bola kia bataon man nahin samjha tmhari baat
K kin rangon ki karty ho hamary samny faryad
Nichora tha hamary dil ko dunya ny bohot ziyada
Nahin chora tha kuch bhi is jahan ny tor k vada
Wo betha tha mehel man sath us k thy bohot sy log
Jo us k sath rehty thy tha jin ko sirf aik hi shoq
Wo betha tha sabhi paise ki hasrat rakhny walon man
Tha ban betha wo sub ka badshah paise ki dunya man
Wo larka jo kabhi karta tha baatyn haq or achy ki
Jo karta tha madad is maashry k nichly tabqy ki
Wo kehta ha ke ab baaqi nahi wajoob us kal ka
Zeher dalta ha apni paarsai man shetaanon ka
K hun majboor man bhi is jahan ka fard jo man hun
Bohot masly han is dunya man jin ka man niwala hun
Karun jo baat achi to man rehta hun sada bhooka
Jo khaon to bohot kuch cheen'na parta ha dunya ka
Ke bikta ha jahan man aaj apna ilm or eman
Jo na becho to kehlaty ho is dunya man tm nakaam
Good
ReplyDelete