Ha mera kaam is dunya man logon ko milany ka
Ho jab chahat kisi ki ha hamara wakt aany ka
Man jab aaon to laata sath hun gham baantny wala
Koi ujry howe us dil ki haalat jaan'ny wala
Mujhe jazbaat kehty han koi kehty han kamzori
Koi aany py mery thaam lety dil ko han fori
Mery aaty hi jaaty han bohot sy log mujh sy door
Magar us aik ki khatir ha aana mera bhi zaroor
Wo ek insan jo baanty gham-o-ghussa sabhi ka hi
Jo thaamy dil ko or boly hun tery sath ab man bhi
Man ek shab soch hi man tha k kab aaon man kab aaon
Ishaary to bohot thy par na un ko man samajh paon
Ke itny man ijazat mil gai mujh ko bhi aany ki
Tha khush man aaye ga koi kisi k kaam aany bhi
Jo darwazy ko pohoncha to ye dekha ha nahi koi
Jo aye karny jhooty mun hi is ki thori dil joi
Nahin ha kaam mera par man pucha kia hoa sahab
Kyon di awaz jab na tha koi milny ko bhi sahab
Wo bola ha bulaya tm ko taake tm ko batlaon
Jo soompa ha gaya tm ko man wo ab kaam badlaaon
Meri dunya man rehti ha hamysha dhoom logon ki
Meri hansi meri muskaan ha bus farmaysh logon ki
Jo hota hun man jazbaati to pas aata nahi koi
Akela rehna parta ha lagata dil nahi koi
Man bola na samajh khud ko aleka sath tery hun
Ke jab dil ho bulany ka tmhary pas man hi hun
Man us dehleez py betha raha karta raha baatyn
Guzaari sath ham ny bohot si taareeq udaas raatyn
Ke jis k dil lagany ko nahi milta tha tab koi
Lagaya dil ko us k sath tanha ab nahi koi
Comments
Post a Comment