Wo jaan ka nazrana dy kar
Logon ka dil behlaty han
Khud reh na sakyn beshaq ek pal
Oron ko aas dilaty han
Logon ki Khushi man khush ho kar
Khushiyan har dam phelaty han
Aansu aa jayn kisi ko jab
Kaan or kaandha ban jaaty han
Dil phatny lagy jab un ka to
Kisi or ka dil behlaty han
Parwah khud ki na karty par
Sab ke har kaam wo aaty han
Han kon ye sab, kia raaz ha ye
Kesy har kaam man aaty han
Insan han ham, kehty han sabhi
Insan ke kaam hi aaty han
Wah wah....
ReplyDelete