Nigaahyn utha ke man dekhun kabhi
Mujh ko dikhti ha ek chand ki roshni
Jesy ho ek gulab dilkash o dilnasheen
Jesy qudrat ka manzar bohot hi haseen
Jesy sooraj sy hota ha saaf aasmaan
Rakhy sab ko jahan man haseen o jawan
Esa milta ha jalwa jahan bhar man kam
Jis ko dekhyn jo ek pal ko ho jayn zam
Jis ke sani ki rehti sabhi ko talab
Jis ka sani bhi milta kisi ko ha kab
Esy purnoor insan ka rakhiye khayal
Jin ka anmol ha sar ka aik aik baal
Jin ke maathy ki ronak sy rehta ha dam
Jin ke didaar sy ham ko aata ha dam
Jin ki aankhon man dikhta samundar koi
Doob jaana ho jis man sada bus yun hi
Jin k gaalon ki narmi karun man bayaan
Jesy ho badalon man pari ka makaan
Jin ke honton ki surkhi ho ya ho koi
Phoolon ke badshaahon ki ek pankhari
Jin ke khilty badan ki mehek ka asar
Rakhy ark e gulab jesa hi kuch asar
Pas man kesy karun unko esy bayaan
Han wo qudrat ka ek dilnasheen sa gumaan
Well-done 👏👏
ReplyDelete❣️❣️❣️
ReplyDeleteSuper
ReplyDeleteKamal❤️
ReplyDelete