Skip to main content

Straight Path




Jo karna tha tu kar betha
Karty karty mar jaye ga
Tery hath abi kuch aaya ha
Na hath kabhi kuch aye ga

Tu bhaag raha ha jis janib
Kabhi pass na us ko paye ga
Tu qadam barhata ha aagy
Tu lot k wapis aye ga

Kuch milta ha is dunya man
Na mar k sath ly jaye ga
Sab kuch peechy tu chor k bus
Matti man dabaya jaye ga

Tu cheekhy ga chillaye ga
Tujhe sun na koi bhi paye ga
Ek tu ho ga or ek Allah
Tu chup na kabhi bhi paye ga

Tery sath amal ho ga tera
Tu seedha hath uthaye ga
Tu Rehem ko tarpy ga us din
Rehman Raheem chillaye ga

Jis ghaflat man guzri dunya
Tu us py bohot pachtaye ga
Tu lakh sahi chahy par phir
Dunya wapis na jaye ga

Tu tarsy ga un sajdon ko
Tujhe har lamha yaad aye ga
Jab para raha tha ghaflat man
Tu roye ga pachtaye ga

Tery pass tha wakt sab k jesy
Jo lot k ab na aye ga
Tu dekhy ga sab ko jaaty
Tu sath nahi jaa paye ga

Tu kahy ga "Tha mera sathi"
Mujhe chor k q kar jaye ga
Wo nazar mila kar keh dy ga
Tu sath nahi aa paye ga

Tera haal nahi ha aany ka
Jaa tu jahan bhi jaye ga
Tera wohi thikana ha jis man
Na chahy bhi tu jaye ga

Tery pass tha wakt jab dunya man
Kehta tha dekha jaye ga
Chal dekh k ab kia hota ha
Tujh sy dekha na jaye ga

Jab umr ataa ki ha tujh ko
Gar is ko ganvata jaye ga
To kaatny ko ho ga wohi
Jis ko tu bota jaye ga

Kar ly ab hosh zara sa tu
Kuch bad man kar na paye ha
Rakh khud ko zara seedha Hafiz
Ye wakt kabi na aye ga.

Comments

Popular posts from this blog

Cold Night

 Pal bhar man zamany beet gaye Ek shakhs ka chehra yaad raha Ek umar luta bethy jis par Us shakhs ka saaya pass raha Ek chehra phool ki pattiyon sa Muskaan hawaon ke jesi Ek shakhs ki garmi sooraj si Or chamak sitaaron ke jesi Gulshan ka samaan hota tha jab Paighaam-e-bulawa aata tha Chand pyar bhary alfaaz man jab Sakoon-e-dahr samaata tha Ek raat thi jab ham jeet gaye Is dahr ka sab kuch pal bhar man Ek raat this jab sab khatm hoa Sab haar gaye ham pal bhar man Ek pal man mera dil Gulshan sy Banjar or phir barbaad hoa Kuch kar na saka, but sehta raha Dil phir na kabhi bhi shaad hoa Ek ashq ny sab kuch bol dia Jab hont sahaara chor gaye Jis jis ka sahaara tha dil ko Mujh sy apna mun mor gaye Jab raat andheri aati ha Bus thandi aahyn bharta hun Aankhon sy dekh ke na samjha Haalan ke man audit karta hun

Tu Bhi

  Log kehty han ke kia haal bana rakha tu ne Tu ne to khud ko devaana hi bana rakha ha Teri soorat sy chalakta tha kabi noor-e-muhabbat Tu ne ab chehra-e-purnoor hi dunya sy chupa rakha ha   Log kehty han ke hota hai zamany man hi Log aaty han faqat chor ke jaany ki khatir Dukh na kar ye to faqat aam ha is dunya man Ishq hota ha faqat paisa-o-shohrat ki khatir   Esi anmool kahani to nahi ha teri Koi anmool khazana bhi nahi khoya tu ne Tu ne bekaar hi be’chain kia hai khud ko Khud ko khud maar giraya ha faqat   goya tu ne   Man ye kehta hun ke logon ko bhala kia maloom Man ny paaya bhi bohot or bohot khoya bhi ha Umr bhar sath chaly ga mery tanhai ka saaya Meri raaton ki khushi, chain sakoon khoya bhi ha   Mujhe hasil ha pareshaani ka umda kambal Hai ataa mujh ko umar bhar ki kasak ki chaadar Mujh ko pehnaya hai zillat ka libaada us ny Beech us raah-e-khushaada py mujhe kar ke anaadar   Tu kia jaany mery...

Tragic Soul of Poetry

Man haathon man samety chand lafzon ke janaazy ko Safar apna kisi manzil ki khatir waqf karta hun Kabhi dayn Kabhi bayn Kabhi oopar Kabhi neechy Kabhi edhar Kabhi udhar Kabhi aagy Kabhi peechy Kabhi mushkil banata hun Kabhi asaan karta hun Man apni shayari ka safr youn tamaam karta hun Kabhi ek laye banata hun jo dil ko kaat kar guzry Kabhi ek lafz esa daal dun jo dil man jaa utry Laga dun qafiya to husan in lafzon man bharta ha Mukammal mery misry ko mera radeef karta ha Magar bejaan in alfaaz ko kia dun k jee jayn Ke sun'ny waly har insan ke jazbaat pee jayn Koi aab-e-hayat esa jo murda ko jagaa jaye Koi jadu jo in bejaan lafzon ko utha jaye Mehez alfaz ke ghuchy to har koi banata ha Kabhi oocha Kabhi neecha to har koi sunata ha Magar alfaz ka gucha nahi shayari ha kehlaata Na ye kuch ha samajhta na kisi ko kuch ye batlaata Haqeeqat man to asli shayari ka pait bharty han Ghiza dety han, apni shayari par shayar marty han Qalam karty han sir or chaak-e-daaman apna karty han Gira ka...