Skip to main content

A New Chapter πŸ“–


 Chalo is rang sy khali jahan man rang bharty han

Ham apni zindagaani man chalo ek baab likhty han


Bohot arsy sy ab tak aa na paaya koi jis dil man

Chalo us dil ki kashti ko sapurd-e-aab karty han


Ham ek mehfil sajaaty han jahan logon ka mela ho

Ke jis mely man ham apny azaa nilaam karty han


Jahan is ko mily jigra, kaleja us ke haq man ho

Jisy jis ki zaroorat ho ham us k naam karty han


Nikalty han jahan man or jahan ko dekh lety han

Pasand aye naya koi to us k sath chalty han


Lagaty han kisi k sath dil ki sab hi taaron ko

Muhabbat ki dehekti shamma par ham sath jalty han


Jo socha ye to ek ehsaas dil man aa gaya mery

Jahan bhi hon ham ek insan apny sath rakhty han


Haseen soorat, ghany sy baal, or muskaan honton ki

Ham is dil k kisi kony man har su dafn rakhty han


Ke jis baab-e-jahan ke pannon ko paltaa raha hun man

Unhip annon ko apny dil ke sab sy pass rakhty han


Man jab us shakhs ko dekhun to dil mera ye kehta ha

Chalo ek kaam karty han, chalo ek sath chalty han

Comments

Popular posts from this blog

Cold Night

 Pal bhar man zamany beet gaye Ek shakhs ka chehra yaad raha Ek umar luta bethy jis par Us shakhs ka saaya pass raha Ek chehra phool ki pattiyon sa Muskaan hawaon ke jesi Ek shakhs ki garmi sooraj si Or chamak sitaaron ke jesi Gulshan ka samaan hota tha jab Paighaam-e-bulawa aata tha Chand pyar bhary alfaaz man jab Sakoon-e-dahr samaata tha Ek raat thi jab ham jeet gaye Is dahr ka sab kuch pal bhar man Ek raat this jab sab khatm hoa Sab haar gaye ham pal bhar man Ek pal man mera dil Gulshan sy Banjar or phir barbaad hoa Kuch kar na saka, but sehta raha Dil phir na kabhi bhi shaad hoa Ek ashq ny sab kuch bol dia Jab hont sahaara chor gaye Jis jis ka sahaara tha dil ko Mujh sy apna mun mor gaye Jab raat andheri aati ha Bus thandi aahyn bharta hun Aankhon sy dekh ke na samjha Haalan ke man audit karta hun

Tu Bhi

  Log kehty han ke kia haal bana rakha tu ne Tu ne to khud ko devaana hi bana rakha ha Teri soorat sy chalakta tha kabi noor-e-muhabbat Tu ne ab chehra-e-purnoor hi dunya sy chupa rakha ha   Log kehty han ke hota hai zamany man hi Log aaty han faqat chor ke jaany ki khatir Dukh na kar ye to faqat aam ha is dunya man Ishq hota ha faqat paisa-o-shohrat ki khatir   Esi anmool kahani to nahi ha teri Koi anmool khazana bhi nahi khoya tu ne Tu ne bekaar hi be’chain kia hai khud ko Khud ko khud maar giraya ha faqat   goya tu ne   Man ye kehta hun ke logon ko bhala kia maloom Man ny paaya bhi bohot or bohot khoya bhi ha Umr bhar sath chaly ga mery tanhai ka saaya Meri raaton ki khushi, chain sakoon khoya bhi ha   Mujhe hasil ha pareshaani ka umda kambal Hai ataa mujh ko umar bhar ki kasak ki chaadar Mujh ko pehnaya hai zillat ka libaada us ny Beech us raah-e-khushaada py mujhe kar ke anaadar   Tu kia jaany mery...

Tragic Soul of Poetry

Man haathon man samety chand lafzon ke janaazy ko Safar apna kisi manzil ki khatir waqf karta hun Kabhi dayn Kabhi bayn Kabhi oopar Kabhi neechy Kabhi edhar Kabhi udhar Kabhi aagy Kabhi peechy Kabhi mushkil banata hun Kabhi asaan karta hun Man apni shayari ka safr youn tamaam karta hun Kabhi ek laye banata hun jo dil ko kaat kar guzry Kabhi ek lafz esa daal dun jo dil man jaa utry Laga dun qafiya to husan in lafzon man bharta ha Mukammal mery misry ko mera radeef karta ha Magar bejaan in alfaaz ko kia dun k jee jayn Ke sun'ny waly har insan ke jazbaat pee jayn Koi aab-e-hayat esa jo murda ko jagaa jaye Koi jadu jo in bejaan lafzon ko utha jaye Mehez alfaz ke ghuchy to har koi banata ha Kabhi oocha Kabhi neecha to har koi sunata ha Magar alfaz ka gucha nahi shayari ha kehlaata Na ye kuch ha samajhta na kisi ko kuch ye batlaata Haqeeqat man to asli shayari ka pait bharty han Ghiza dety han, apni shayari par shayar marty han Qalam karty han sir or chaak-e-daaman apna karty han Gira ka...