Skip to main content

Loneliness 💔



Agar hamara jo haal pucha
To Jaan-e-Jaanaan man ro parun ga
Jo tooty dil ka sawaal pucha
To Jaan-e-Jaanaan man ro parun ga

Kabhi jo hansta tha dil hamara
Kabhi jo ronak man khelta tha
Jo pucha ab hai kahan wo ronak
To Jaan-e-Jaanaan man ro parun ga

Meri Khushi ki wajah tha koi
Ke jis ko man dil sy chahta tha
Agar jo pucha kahan gaya wo
To Jaan-e-Jaanaan man ro parun ga

Ke jis ki khatir man jaagta tha
Ke jis ko har pal man sochta tha
Jo pucha ab raat guzry kesy
To Jaan-e-Jaanaan man ro parun ga

Bicharny waly to hain hazaaron
Magar tmhan un man na gina tha
Bicharny ka gar sabab jo pucho
To Jaan-e-Jaanaan man ro parun ga

Har ek ny jaana hai zindagi sy
Har ek ny lena ha raah apna
Magar jo maazi ki yaad kholun
To Jaan-e-Jaanaan man ro parun ga

Sataati hai yaad us ki mujh ko
Kabhi mery hath kaampty han
Mujh jo yaad aye wo aik pal ko
To Jaan-e-Jaanaan man ro parun ga

Isi liye main nahi raha main
Ke jesy us man hi reh gaya hun
Agar jo mery wo roo baroo ho
To Jaan-e-Jaanaan man ro parun ga

To is liye jo bhi haal puchy
To kehta hun man sambhaal lun ga
Magar agar tum dobara pucho
To Jaan-e-Jaanaan man ro parun ga

Comments

Popular posts from this blog

Cold Night

 Pal bhar man zamany beet gaye Ek shakhs ka chehra yaad raha Ek umar luta bethy jis par Us shakhs ka saaya pass raha Ek chehra phool ki pattiyon sa Muskaan hawaon ke jesi Ek shakhs ki garmi sooraj si Or chamak sitaaron ke jesi Gulshan ka samaan hota tha jab Paighaam-e-bulawa aata tha Chand pyar bhary alfaaz man jab Sakoon-e-dahr samaata tha Ek raat thi jab ham jeet gaye Is dahr ka sab kuch pal bhar man Ek raat this jab sab khatm hoa Sab haar gaye ham pal bhar man Ek pal man mera dil Gulshan sy Banjar or phir barbaad hoa Kuch kar na saka, but sehta raha Dil phir na kabhi bhi shaad hoa Ek ashq ny sab kuch bol dia Jab hont sahaara chor gaye Jis jis ka sahaara tha dil ko Mujh sy apna mun mor gaye Jab raat andheri aati ha Bus thandi aahyn bharta hun Aankhon sy dekh ke na samjha Haalan ke man audit karta hun

Tu Bhi

  Log kehty han ke kia haal bana rakha tu ne Tu ne to khud ko devaana hi bana rakha ha Teri soorat sy chalakta tha kabi noor-e-muhabbat Tu ne ab chehra-e-purnoor hi dunya sy chupa rakha ha   Log kehty han ke hota hai zamany man hi Log aaty han faqat chor ke jaany ki khatir Dukh na kar ye to faqat aam ha is dunya man Ishq hota ha faqat paisa-o-shohrat ki khatir   Esi anmool kahani to nahi ha teri Koi anmool khazana bhi nahi khoya tu ne Tu ne bekaar hi be’chain kia hai khud ko Khud ko khud maar giraya ha faqat   goya tu ne   Man ye kehta hun ke logon ko bhala kia maloom Man ny paaya bhi bohot or bohot khoya bhi ha Umr bhar sath chaly ga mery tanhai ka saaya Meri raaton ki khushi, chain sakoon khoya bhi ha   Mujhe hasil ha pareshaani ka umda kambal Hai ataa mujh ko umar bhar ki kasak ki chaadar Mujh ko pehnaya hai zillat ka libaada us ny Beech us raah-e-khushaada py mujhe kar ke anaadar   Tu kia jaany mery...

Tragic Soul of Poetry

Man haathon man samety chand lafzon ke janaazy ko Safar apna kisi manzil ki khatir waqf karta hun Kabhi dayn Kabhi bayn Kabhi oopar Kabhi neechy Kabhi edhar Kabhi udhar Kabhi aagy Kabhi peechy Kabhi mushkil banata hun Kabhi asaan karta hun Man apni shayari ka safr youn tamaam karta hun Kabhi ek laye banata hun jo dil ko kaat kar guzry Kabhi ek lafz esa daal dun jo dil man jaa utry Laga dun qafiya to husan in lafzon man bharta ha Mukammal mery misry ko mera radeef karta ha Magar bejaan in alfaaz ko kia dun k jee jayn Ke sun'ny waly har insan ke jazbaat pee jayn Koi aab-e-hayat esa jo murda ko jagaa jaye Koi jadu jo in bejaan lafzon ko utha jaye Mehez alfaz ke ghuchy to har koi banata ha Kabhi oocha Kabhi neecha to har koi sunata ha Magar alfaz ka gucha nahi shayari ha kehlaata Na ye kuch ha samajhta na kisi ko kuch ye batlaata Haqeeqat man to asli shayari ka pait bharty han Ghiza dety han, apni shayari par shayar marty han Qalam karty han sir or chaak-e-daaman apna karty han Gira ka...